Ramesh, apna canteen boy,


Ramesh, apna canteen boy,
sabko khilata hai, shayad khud bhi khaata hoga,
ramesh ho ya ganesh, suresh? Ritesh? Dharmesh?
aadmi bhookha thodi hi rehsakta hai?

Ramesh, apna canteen boy,
har kisi se poochta hai, aaj kya khilaoon,
magar koi ushe nahi poochta, tune kya khaya.
lunch, time pe nahi pahuncha to hi kehte hai, ye khana tu khaa.!!

Koi bhi waqt bewaqt call karke kehta hai,
chaai laa, kabhi sandwich laa...
jaldi mein kabhi ramesh cup toodta hai, kabhi sandwich jalata hai..
uski bhi masti kam nahin, wo jaanboojhke late aata hai.

Ramesh, apna canteen boy.
south ka ek villian 'Spot Nana' jaise dikhta hai,
khudko hero kehta hai, sallu ka attitude rakhta hai,
ringtone aisa mobile main change karta hai, jaise kisike ishq me dooba hua ho!

Ramesh, apna canteen boy.
ladko se jyada, ladkiyon me interest rakhta hai,
kisi se nahin darta hai, kisi ka nahin sunta hai.
par sinha sir ka naam sunte hi, patli gali se rasta naapta hai..!!!

777

Comments

Popular posts from this blog

Pain of Damini - Delhi Rape Victim Nirbhaya

On this special day of your life